Muhammad (ﷺ) Ka Akhiri Khutba

Muhammad (ﷺ) Ka Akhiri Khutba



RasoolAllah Muhammad (ﷺ) Ne Ek Roz Khutba Diya.

Ek Sahabi-E-Rasool Arbaz Bin Sariyaah (Radi’Allahu Anhu) Uthe Aur Kahne Lage Ke - “Ya RasoolAllah!(ﷺ) ! Mujhe Darr Hai, Mujhe Aisa Gumaan Hai Ke Kahi Ye Aapka Aakhri Khutba To Nahi ? 


Lihaza Kuch Nasihat Aur Wasiyat Kar Jaiye Humein

(Goya Is Khutbe Ki Baat Ek Wasiyat Hai Nabi (ﷺ) Ki Taraf Se Apni Ummat Ko Agar Isko Samajh Gaye To Hum Kamyab Ho Gaye) 


To RasoolAllah (ﷺ) Ne Farmaya Aur Kaha :Sbse Behtareen Baat! Allah Ki Kitaab Ki Baat Hai,

Aur Sabse Behtareen Tareeka! Tareeka-E-Muhammad (ﷺ) Ka Hai, 


Sabse Badtareen Kaam "Deen Me Nayi Cheez Ijaad Karna Hai Aur Deen Mein Nayi Cheez Ijaad Karna Biddat Hai Aur Har Biddat Gumrahi Hai Aur Har Gumrahi Jahannum Mein Le Jayegi"


Yeh Khutba RasoolAllah (ﷺ) Ne Diya Aur Fir Aage Farmaya - Main Tumhein 2 Huqm Chhode Ja Raha Hun Jisse Tum Kabhi Gumrah Nahi Hoge Jab Tak Inhe Thaame Rahogey.

Allah Ta'ala Ki Kitaab Aur Meri Sunnat. 


[Sunan Ibn-E-Majah Hadees Number 43]

[Sahih Bukhari Hadees Number 3197]

[Sahih Muslim Hadees Number 4822]

[Musnad Ahmad Hadees Number 11372]

[Tirmizi Hadees Number 2565]

[Hakim Mustadrak 1:218] 


Yeh RasoolAllah (ﷺ) Ki Wasiyat Thi Aapki Ummat Ke Liye Us Sahabi Ka Darr Yhi Tha Ke Aapke Jaane Ke Baad Wahi Ka Silsila Ruk Jayega. 


Phir Kaun Humein Batayga Ke Sahih Kya Hai Or Galat Kya ?

Toh Aap (ﷺ) Ne Bata Diya "Main Tumhein 2 Huqm Chhode Ja Raha Hun Jisse Tum Kabhi Gumrah Nahi Hoge Jab Tak Inhe Thaame Rahogey.

Allah Ta'ala Ki Kitaab Aur Meri Sunnat".


To Aap (ﷺ) Ne Ummat Ko Jo Aakhri Wasiyat Or Nasihat Ki Wo Biddat Ke Talluq Se Ki "Biddat Na Karna Mere Iss Deen Mein Matlab Naya Aqeeda Na Ijaad karna".


🌷Share With Others🌷

💐Jazakallahu Khairan💐

Post a Comment

1 Comments


  1. I like the helpful information you provide in your articles. I will bookmark your blog and check again here regularly.This blog article is really good, can give me innovation to create a website. Thank you very much Taleem-ul-Quran

    Taleem-ul-Quran Academy

    ReplyDelete