Namaz Padhna Bhool Jaye Aur Waqt Nikal Jaye To Kya Karein?
👉 Hazrate Anas (R.A) rivayat karte hain ke RasoolAllah (ﷺ) ne farmaya :
“Jo Shakhs Namaz bhool jaye (ya so jaye) to uska kaffara iske siwa koi nahi ke jis waqt use yaad aaye us Namaz ko padh le.”
[Sahih Bukhari Hadees Number 597]
[Sahih Muslim Hadees Number 1566]
🔴 Is Hadees ki Tafseer me Muhaddis Shaikh Zubair Ali Zai farmate hain :
“Is hadith se ye malum hua ki agar koi shaks namaz padhna bhul jaye aur us namaz ka waqt guzar jaye to jis waqt yaad aaye, wo us waqt apni namaz padh le aur isi tarha agar koi shaks so jaye aur namaz ka waqt guzar jaye,
Maslan: Subah aankh hi aise waqt khule ke suraj tulu ho chuka ho to jaagne wale ko usi waqt puri namaz (farz aur sunnat) padh leni chahiye aur us par kisi kism ka kaffara nahi hai.
"Qaza-E-Umri Waale Masle Ki Shari'at Me Koi Asal Nahi, Lihaza Ye Biddat Hai.”
[Namaz e Nabawi by Shaykh Zubair Ali Zai, Page-132.]
👉 Abdullah bin Abi Qatada (R.A) rivayat karte hai ki mere walid ne kaha ke Ek raat hum Nabi (ﷺ) ke sath safar kar rahe the.
Kisi ne kaha ke Huzoor! Aap (agar) ab padao daal dete to behtar hota.
Aap (ﷺ) ne farmaya ke mujhe darr hai ke kahi namaz ke waqt bhi tum sote na rah jaao.
Is par Bilal (R.A) bolein ke Mai aap sab logon ko jaga dunga.
Chunanche sab log layt gaye Aur Bilal (R.A) ne bhi apni peeth kajaweh (Rahila) se laga li aur unki bhi aankh lag gayi aur jab Nabi (ﷺ) bedaar hue to Suraj ka upar ka hissa nikal chuka tha.
Aap (ﷺ) ne farmaya, Bilaal! Tum ne kya kaha tha ?
Wo bole aaj jaisi neend mujhe kabhi nahi aayi Fir RasoolAllah (ﷺ) ne farmaya ke Allah Ta'ala tumhare rooh ko jab chahta hai kabz kar leta hai aur jis waqt chahta hai wapas kar deta hai.
Aye Bilal! Utho aur azaan do ! Fir Aap (ﷺ) ne wuzu kiya aur 2 rakate (Sunnat) padhi aur jab Suraj buland ho kar roshan ho gaya to Aap (ﷺ) khade hue aur namaz padhayi aur farmaya ki Jo shakhs namaz bhool jaye to use jab yaad aaye to namaz padh le.’
[Sahih Bukhari Hadees Number 595]
[Sahih Muslim Hadees Number 1560]
👉 RasoolAllah (ﷺ) ke amal se bilkul wazeh hai ke neend se bedar hone par fauran namaz adaa ki jaaye.
Lehaza qaza namaz ki adaaigi ke liye iske baad wali namaz ke waqt ka intezar nahi karna chahiye balki fauran ada kar leni chahiye.
🔴 Namaz Majbooran Faut Ho Jaye To Kaise Padhein ?
👉 Jabir bin Abdullah (R.A) se riwayat hai ke ghazwa e khandak ke din Umar (R.A) guroob e aftaab ke baad Quraish ko bura bhala kahte hue aaye aur arz kiya Aye Allah ke Rasool (ﷺ) maine Asr adaa nahi ki hatta ke suraj ghuroob ho chuka hai.
Aap (ﷺ) ne farmaya : Wallah! Maine bhi Namaz e Asr adaa nahi ki Fir hum sab Muqaam e Bathaan me aaye, hum ne wuzu kiya aur guroob e aftab ke baad pahle Namaze e Asr padhi fir Namaz e Magrib adaa ki.
[Sahih Muslim Hadees Number 1430]
Maloom hua ke Namazo’n ki tarteeb qayam rakhni chahiye.
🌷Share With Others🌷
💐Jazakallahu Khairan💐
0 Comments