Noha Matam Karne Wali Aurton Ka Anjaam


Noha Matam Karne Wali Aurton Ka Anjaam


RasoolAllah (ﷺ) Ne Farmaya- Noha Karna Jahiliyat Ka Rivaj Hai Ajr Noha Karne Wali Agar Tauba Kiye Bagair Mar Gayi To Allah Ta'ala Uske Liye Tarkol (Daamar) Ke Kapde Aur Aag Ke Sholey Ki Kameez Banayega.


[Ibn-E-Majah Hadees Number 1581]


👉 Wo Shakhs Hum Musalmano Mein Se Nahi Jo Kisi Mayyat Par  Rukhsaar Peete, Girebaan Phaade Aur Daure Jahiliyat Ke Batein kare.


[Sahih Bukhari Hadees Number 1297]


👉 Rasoolullah ﷺ Ne Farmaaya:-

"Meri Ummat Mein 4 Kaam Jaahiliyat Waale Honge Jinko (Kuch) Log Nahi Chhodenge.


1- Ahsab (Baap Dada Ki Asli Ya Maz'uma Karnamo) Par Fakhr Karna 

2- Nasb Me Ta'n Wa Aib (Rishtedaro ko Tana karne wale)

3- Sitaro Ke Zariye Baarish Talab Karna

4- Noha Karna (Matam karna)


[Sahih Muslim Hadees Number 2160]


Isliye Maatam e Hussain Wa Ta'aziya Daari Ka Islaam Se Koi Talluq Nahi

Is Ehteraam Wale Mahine Me Jaahil Log Jitne Bhi Rasm'aat ejaad Kar lein Inki Haisiyat Kuch Bhi Nahi,Balki In Tamaam Jaahilana Rasm'aat Ke Baare Mein Rasoolullah ﷺ Ne Irshaad Farmaaya : "Khabardaar ! Jaahiliyat Ke Har Kaam Mere Dono Qadmo Ke Neeche Rondhi Hui Hai." 


[Musnad Ahmad Hadees Number 11105]


Aakhir Me Allah Ta'ala Se Dua Hai Ke Allah Hame Taufeeq De Ke Hum in Rasm'aat Se Khud Bhi bache Rahe Aur Apne Ghar Walon aur Deegar Logon Ko Bhi bacha Sake...Aameen 🤲

Post a Comment

0 Comments