Tumhari Dua Qubool Nahi Ki Jayegi

 



Tum Allah Se Dua Karo Aur Tumhari Dua Qubool Nahi Ki Jayegi 


RasoolAllah (ﷺ) Ne Farmaya - Us Zaat Ki Kasam Jiske Hatho Mein Meri Jaan Hain 


Tum Bhalayi (Neki) Ka Huqm Dete Raho Aur Burayi Se Roko Varna  Kareeb Hai Ke Allah Tum Par Apna Aazab Bhej De Fir Tum Allah Se Dua Karo Aur Tumhari Dua Qubool Nahi Ki Jayegi. 


[Tirmizi Hadees Number 2169] 


🔴 Aaj kal jo har jagah musalamano ke sath na-insafiyan ho rahi hai aur musalmano ki duayein radd hoti jaa rahi hai 


ye wahi azaab hai kyunki hmne aaj burayi ko aam kar diya hai.

jabki achchhayi ko logo tak pahuchane se katrate (darte) hai.

jo achchhayi ka paigham dena chahte hain usey bhaga dete hai uspe zulm karte usey haq baat dusron tak pahuchane se roktein hai. 


Aaj ke musalmano ki haalat agar dekha jye to Makkah ke Mushrikin se bhi badtar hain. 


🔴 Makkah Ke Mushrik Ke Numaya (Zahir) Khasusiyat 👇 


"Hum inn ki ibadat sirf iss liye kartey hain ke ye hamein Allah se qareeb kar dein" 


[Surah Zumar 39, Ayat No. 3] 


"Wo kehte hain ke ye Allah ke paas humari sifarish karne wale hain" 


[Surah Younus 10, Ayat No. 18] 


Aaj yahi Khasusiyat aaj ke kalma go musalamano mein paayi jti hai wo bhi Allah ko mante they aur Allah ke yahan Sifarashi samajh ke butto ko pujte they aur wo butt unke nek guzre saleheen ki thi 


aur aaj yahi haal musalamano ka hai ye bhi Allah ko mante hai aur Allah ke yahan sifarshi samajh kar Qabr walo ko poojte hain.

Aaj ke Musalmano ka Aqeeda aur Mushrikin-E-Makka walo ka bhi yhi aqeeda tha phir bhi aaj ke Musalmaan khud ke halat pe gaur nahi karte ?? 


👉 QURAN - "Ye kashti mein sawar hote hain to Allah ko iss tarah pukarte hain ke unka aetiqaad khalis ussi par hota hai. phir jab wo unhe bacha kar khushki (sookhe) par le aata hai to foran shirk karne lagte hain" 


[Surah Ankaboot 29, Ayat No. 65] 


Afsos aaj ka kalma go musalman samandar mein bhi Yaa Ali aur yaa gaus Azam madad ke naare lagate hai 💔 


Yahi wajah hai tumne haq ko khud se door kar diya aur Allah ne tumse apni rahmat ko door kar diya hai 🔥


🌷Share With Others🌷

💐Jazakallahu Khairan💐

Post a Comment

1 Comments