Hum Tumhari Judaai Se Ghamgeen Hai

Hum Tumhari Judaai Se Ghamgeen Hai 😭



Hum RasoolAllah (ﷺ) ke saath Abu Saif Lohar ke yahan gye.
Ye Ibrahim (RasoolAllah (ﷺ) ke Sahabzade RadiAllahu Anhu)  ko dhoodh pilaane waali aana ke khawind the.

Aap (ﷺ) ne Ibrahim RadiAllahu Anhu ko goad me liya or pyaar kiyaa or soongha.
Fir uske baad hum unke yahan fir gye.

Dekha ke is waqt Ibrahim RadiAllahu Anhu dum tod rahein Hain.

RasoolAllah (ﷺ) ki Aankhein Aansuon se bhar aayi.
Toh Abdul Rahman bin Auf bol pade kay Ya RasoolAllah (ﷺ)!  Or Aap bhi logon ki tarah Be-Sabri karne lagein ?

Nabi Kareem (ﷺ) ne farmayaa : Ibn Auf! Ye Be-Sabri nhi yeh to rehmat hai.

Phir Aap (ﷺ) dobara royein or farmayaa - Aankho se aansu jaari hai aur dil gham se nidhaal hai par zuban se hum kahenge wahi jo humare parwardigar ko pasand hai 😭 😭😭

Aur Aye Ibrahim! Hum tumhari Judaai se ghamgeen Hain. 💔

[Sahih Bukhari Hadees Number 1303]

Post a Comment

1 Comments


  1. I like the helpful information you provide in your articles. I will bookmark your blog and check again here regularly.This blog article is really good, can give me innovation to create a website. Thank you very much Taleem-ul-Quran Academy in usa

    Taleem-ul-Quran

    ReplyDelete