Insan Qayamat Ke Din Uske Sath Hoga Jisse Wo Muhabbat Karta Hai
Ek Ansari Sahabi Jinka Chehra (Face) Bahot Ghamzada Tha, RasoolAllah (ﷺ) Ke Pas Aayein!
RasoolAllah Ne Unki Pareshaani Kaa Sabab Pucha,
To Unhoney Kaha - “Aye Allah Kay Rasool (ﷺ)! Ek Gam Mjhe Khaye Jaa Rha Hai, Kay Main Ye Sochta Hun Kay Aaj Duniya Mein Apka Chehra Mubarak Dekhe Bina Hum Rah Nhi Paate, Chaltey Aur Phirte, Uthte Or Baithte Jb Bhi Apki Yad Ati, Aapse Aa kar Hm Mil Lete Apka Deedaar Kartey Or Humein Sukoon Milta Lekin Main Ye Soch Kar Gam Kha Raha Hun Kay Roz-E-Qayamat To Aap Ambiya (Alaihis Salam) Ke Sath Hongey, Wahan Hm Apka Deedaar Naa Kar Payenge”
Aap (ﷺ) is Par Khamosh Ho gayein…
Phir Aap (ﷺ) Par Allah Ta'ala ki Jaanib se ye Ayat Nazil Hui 👇
“Jo Koi Allah Or Uske Rasool Ki Farmabardaari Karey Wo (Roz-E-Qayamat) Un Logo Ke Sath Hoga Jin Par Allah Ta’ala Ne Inam Kia Hai Jaise Nabi Aur Siddique Or Shaheed Or Nek Log Ye Behtareen Rafiq Hai.”
[Surah Nisa 4 : Ayat No. 69]
Or Fir Aap (ﷺ) Ne Farmayaa –
“Al-Maru Ma’ Man Ahab”
Yaani Insan (Qayamat Ke Din) Uske Sath Hoga Jisse Woh Muhabbat Karta Hai.
[Sahih Bukhari Hadees Number 189]
Or Anas Bin Malik Kahte Hain Kay, Is Hadees Ko Sunne Se Zyada Humein Kbhi Kisi Hadees Par Aisi Khushi Nhi Hui Ke Qayamat Ke Din Insaan Uskey Sath Jisse Woh Muhabbat Karta Hai Or Hm Jante Hai Ke Hum RasoolAllah (ﷺ) Se Muhabbat Kartey Hai, Lihaza Hmara Bhi Hisab RasoolAllah (ﷺ) Ke Sath Hoga.
To Jisne RasoolAllah (ﷺ) Se Muhabbat Ki Yani RasoolAllah (ﷺ) Ki Ita’at Ki Woh RasoolAllah (ﷺ) Ke Sath Hai.
Jisne Film Stars Ki Itteba Ki Unse Muhabbat Ki, Unke Tareeqo Ko Apnaya, Woh Qayamat Ke Din Unkey Saath Hoga...
Jisney Sport Stars Ko Pasand Kia, Unke Tarike Par Chalaa Woh Qayamat Ke Din Unkey Saath Hai...
Jisne Kuffaro Ko Pasand Kiya, Unke Tarsh Ko Apnaya Or Unke Tariko Par Chalaa Woh Qayamat Ke Din Unke Saath Hai...
1 Comments
ReplyDeleteI really enjoyed your blog Thanks for sharing such an informative post.
Taleem-ul-Quran Academy in usa
Taleem-ul-Quran Academy in usa