12 RABI-UL-AWWAL JASHN KA DIN YA WAFAT KA | 12 RABI-UL-AWWAL YAUM-E-MATAM YAA YAUM-E-EID


12 RABI-UL-AWWAL "YAUM-E-MATAM" YAA "YAUM-E-EID" ?


Logo mein mashoor yahi hai ke aap (ﷺ) 12 rabi-ul-awwal ko paida hue the, isliye aashiqan-e-rasool (ﷺ) is tareekh ko eid-wa-jashn Milad-Un-Nabi (ﷺ) manate hai,

halanki ye bhi mashoor hai ke 12 rabi-ul-Awwal ko 12 wafat ke naam se yad kia jata hai, lekin is 12 wafat ko chhod kr log jashn mein mashgool ho gayein...

Aap (ﷺ) ki paidaish ki tareekh me kafi ikhtelaf hai, maheena to wahi hai lekin taareekh mein ikhtelaf hai

namoor ulema-e-tareekh wa hadees me aapki tareekh wiladat ko 9 rabi-ul-Awwal, din peer (monday), 20 april 571 ko sahih qarar diyaa hai,

inme allama ibn kathir,
ibne taimiyya,
ibn qayyim,
hafiz ibn hajar ,
mahmood basha falki,
muhammad taa'at,
maulana akbar shah najeeba baadi,
qaazi muhammad suleman mansoor puri
aur allama naseeruddin albani qaabil zikr hain,

Albatta aap (ﷺ) ki Wafat (death) ki taareekh bila shak-wa-subah wa ikhtelaf ke 12 rabi-ul-Awwal hai,

to kya ye taareekh yaum-e-eid ho sakti hai ?

Yaum-e-wafat par khusiyan kyun ?


12 rabiul awwal ko aap (ﷺ) ki wafat par apke sahaba kiram r.a aur ahle bait r.a ki kiya halat thi hadees mein woh tareekh ki roshni me mukhtasar zikr hai :

"marz ul maut me ek roz nabi (ﷺ) ne mimber par khutba diya aur farmaya, ek bande par duniya aur uski zeenat pesh ki gayi lekin usne akhirat ko pasand farmaya, Hazrat abu bakr r.a usse samajh gaye ke ab apki wafat ka waqt qareeb hai, lihaza wo zaar o katar rone lage"

[Mishkat Page No. 546]

Isi tarah ek aur hadees me marwi hai ke nabi (ﷺ) ki bimari ki halat me sahaba kiram r.a baithe huye ro rahein the, unse unka sabab pucha gaya to kahne lagein ke ham apko yad kar ke ro rahein hain


jigar goshah rasool (ﷺ), khatoon jannat Hazrat fatima r.a ko apne pyare abba ki wafat ka is qadr gham tha ke Marzul maut me jab RasoolAllah (ﷺ) ne unko bataya ke main ab is bimari me inteqal kar jaunga to sayyidah Hazrat fatima ashqbar (rone) lagi"

[Mishkat Page No. 549]


Fir jab nabi (ﷺ) wafat paa gaye to Hazrat fatima r.a kahne lagi :- pyare baap ne dawat e haq ko qubool farma liya, walid girami ne jannatul firdaus me nazool farma liya, walid girami ke inteqal ki khabar jibreel ko kaun pahuncha sakta hai


Fr jab nabi (ﷺ) ko dafnaya gaya to sayyida fatima Hazrat anas se mukhalib ho kar kahne lagi :-" aye anas ! Tum ne RasoolAllah (ﷺ) par mitti daalna kaise gawara kar liya"

[Mishkaat Page No. 548]


jab RasoolAllah (ﷺ) is duniya se rukhsat ho gaye to Hazrat abu bakr r.a ko ittela mili to wo tashreef laye, logo se baat kiye baghair Hazrat aisha r.a ke paas gayein aur wo nabi (ﷺ) ke chehre aqdas se chadar hata kar usey chooma aur fir kaha :-" mere maa baap aap par qurban jo maut allah ne apke liye muqarrar ki thi Woh to aa gayi, uske baad aap maut ki taqleef ko kabhi na uthayenge"

[Seeratun nabi ibn hisham jild 2 page no. 804]


Hazrat umar r.a ko maut ki khabar sun kar bada jhatka laga ke wo manne ko taiyyar nahi the, balki khabar dene walon ko jaan se marne ki dhamki dene lagein,

Hazrat hassan r.a ne apne maatmi ashar mein ye sher kahein

" ye log us hasti par ro rahein the jis par uski wafat ke din aasman ro raha tha, aur zameen ro rahi thi aur log usse bhi zyada gham zada the"

aur kya kisi bhi marne wale ki museebat ka din us din ki museebat ke barabar ho sakta hai, jisme aap (ﷺ) ki wafat hui

[Seerah ibn hisham , urdu, jild 2 page no. 821]


wafat e mustafa (ﷺ) ke din ka naqsha bayan karte hue khaadim rasool Hazrat anas r.a farmaate hain :-" ke jis din RasoolAllah (ﷺ) humare yaha tashreef laye usse behtar din kabhi nhi dekha, aur jis din aapne wafat payi usse zyada taareekh (black) din maine kabhi nhi dekha"


[Mishkat page no. 547]

in waqiyat se bakhoobi andaza kiya jaa sakta hai ke jis roz nabi (ﷺ) ki wafat hui, madeenatul nabi me kohram macha tha, aur apke jaan nisaron ke liye qayamat barpa ho gyi thi.....


Magar afsos aaj ke daur me aashiqaan-e-rasool eid milad aur khushiya isi tareekh ko manate hain, jis din aapki wafat hui.

Post a Comment

1 Comments