Husn-e-Akhlaaq
[The character of Believer]
🔴 Hazrat Abu huraira RadiAllah anhu se riwayat hai, RasoolAllah ﷺ ne farmaya : Mominon me sabse kaamil (Mukammal) imaan wala wo hai jo inn me sabse behtar Akhlaaq wala ho
[Sunan Abu Dawood :4682]
🔴 Hazrat ibn Umar RadiAllah anhu se riwayat hai : Ek Ansari shakhs ne RasoolAllah ﷺ se poocha : Mominon me se kon sabse behtar hai ?
Aap ﷺ ne farmaya: Jo unn me sabse Acche Akhlaaq wala hai
[Sunan Ibn Majah: 4259]
🔴 Hazrat Abu darda' RadiAllah anhu se riwayat hai : Maine Nabi ﷺ ko farmatey hue suna : Meezaan me rakhi jaane waali cheezon me se Akhlaaq E Husn (Acche Akhlaaq) se badh kar koi cheez wazni nahi hai aur Akhlaaq E Husn ka haamil iski badaulat rozedaar aur Namazi ke darje tak pahunch jaayega
[ Tirmizi: 2003]
🔴 Hazrat Abu Abdullah Al-Jadli RadiAllah anhu se riwayat hai : Maine Ummul Momineen Hazrat Aisha RadiAllah anha se RasoolAllah ﷺ ke Akhlaaq ke baare me poocha to unho ne farmaya : Aap ﷺ fahash go (obscene) ,bad-kalaami karne waale aur baazar me cheekhne waale nhi the, Aap buraayi ka badla buraayi se nhi dete the balke darguzar farma dete the
[ Tirmizi: 2016]
🔴 Hazrat jabir RadiAllah anhu se riwayat hai, RasoolAllah ﷺ ne farmaya : Mere nazdeek tum me se [duniya me] sabse zyada mehboob aur Qayamat ke din mujhse sabse zyada qareeb baithne waale wo log hain, Jo tum me behtareen Akhlaaq waale hain, aur mere nazdeek tum me [duniya me] sabse zyada Qaabil e Nafrat aur Qayamat ke din mujhse sabse door baithne waale wo log hain jo baatooni, bila Ahtiyaat bolne waale, zabaan daraaz aur takabbur karne waale hain
[ Tirmizi: 2018]
🔴 Hazrat Nawas bin Sama'an RadiAllah anhu se riwayat hai, Ek Aadmi ne RasoolAllah ﷺ se Neki aur badi ke baare me sawal kiya to Aap ﷺ ne farmaya: Neki acche Akhlaaq ka naam hai, aur gunaah wo hai jo tumhaare dil me khat-ke aur tumhe ye na-gawaar guzre ke wo logon par matla' ho (zaahir ho)
[ Tirmizi: 2389]
🔴 Hazrat Abdullah ibn Mas'ood RadiAllah anhu se riwayat hai, RasoolAllah ﷺ ne farmaya : kya main tumhe Aise logon ki khabar na dun Jo jahannum ki Aag par ya jahannum ki Aag unn par haraam hai? Jahannum ki Aag, logon ke qareeb rehne waale, Aasani karne waale, aur Narm Akhlaaq waale par haraam hai
[ Tirmizi: 2488]
🔴 Hazrat Abu huraira RadiAllah anhu se riwayat hai, RasoolAllah ﷺ ne farmaya : Munaafiq me 2 khaslaten (Sifat) jama nahi ho Sakti hain : Husn E Akhlaaq aur Deen ki samajh
[ Tirmizi: 2684]
🔴 Hazrat Usamah bin Sharik RadiAllah anhu se riwayat hai, RasoolAllah ﷺ se poocha gaya : Aye Allah ke Rasool! Bande ko jo cheezen Allah ne Ataa ki hain, unn me sabse behtar cheez kya hai ?
Aap ﷺ ne farmaya : Husn E Akhlaaq
[Sunan Ibn Majah: 3436]
🔴 Hazrat Abu huraira RadiAllah anhu se riwayat hai, RasoolAllah ﷺ se poocha gaya : konsa kaam zyadatar logon ko Jannat me daakhil karega ?
Aap ne farmaya : Taqwa (Allah ka khauf) aur Husn E Akhlaaq (acche Akhlaaq)
Poocha gaya : konsa kaam zyadatar aadmi ko jahannum me le jaaye ga ? farmaya : 2 khokhli cheezen : Muh aur sharamgaah
[Sunan Ibn Majah: 4246]
🔴 Hazrat Anas bin Malik RadiAllah anhu se riwayat hai : RasoolAllah ﷺ ke Akhlaaq ka ye haal tha Madeene ki Londiyon (slaves) me se Ek Londi Aap ﷺ ka haath pakad leti aur apne kisi bhi kaam ke liye jahan chaahti Aap ko le jaati
[Sahih Bukhari: 6072]
🔴 Hazrat Anas RadiAllah anhu ne kaha : RasoolAllah ﷺ tamaam insaano me sabse zyada khoobsurat Akhlaaq ke Malik the, baaz Auqaat Aap ﷺ hamaare ghar me hote aur Namaz ka waqt ho jata, phir Aap uss chataayi (Mat) ke baare me hukm dete jo Aap ke neeche hoti, use jhaada jaata, phir uss par paani chidka jata, phir Aap imaamat farmaate aur hum Aap ﷺ ke peeche khade hote aur Aap hame Namaz padhaate
Kaha: unki chataayi khajoor ke Patton ki hoti thi
[Sahih Muslim: 1500]
🔴 Hazrat Anas bin Malik RadiAllah anhu kehte hain : RasoolAllah ﷺ logon me sabse behtar Akhlaaq waale the, Allah ki Qasam! Maine 7 saal ya 9 saal Aap ﷺ ki khidmat ki thi, lekin Mujhe nhi maloom ke Aap ne kabhi mere kisi Aise kaam par jo Maine kiya ho, ye kaha ho ke tum ne Aisa aur Aisa kyun kiya! aur na hi kisi Aise kaam par jise Maine na kiya ho, ye kaha ho ke, tum ne Aisa aur Aisa kyun nhi kiya!
[Sunan Abu Dawood: 4773]
🔴 Hazrat Abu huraira RadiAllah anhu se riwayat hai, RasoolAllah ﷺ ne farmaya : tum me sabse behtar wo hai Jo Akhlaaq me apni Auraton ki haqq me sabse behtar ho
[ Tirmizi: 1162]
🔴 Hazrat Abu Haatim Muzni RadiAllah anhu se riwayat hai, RasoolAllah ﷺ ne farmaya: Tumhaare paas jab koi Aisa shakhs (Nikaah ka paighaam lekar) Aaye, jiski Deen daari aur Akhlaaq se tum Mutma'een ho to usse Nikaah kar do
[ Tirmizi: 1084]
__________________________________________
🥀To get Reward in Akhirah,🥀
Share this with your families and friends
BLOG - quranhadeestalk.blogspot.com
ARMAAN ANSARI
1 Comments
Great blogs
ReplyDelete